Pages

Tuesday, December 28, 2010

kissi din...


is be naam se rishte ko nibhao kissi din
jo mil jaay kabhi fursat to pass aao kissi din
milta hai sabhi ko sabhi kuch yeh suna hai
mujh ko to sirf tum hi mil jao kissi din
barsoon se mera yeh dil khaali he parra hai
tum apne naam ki takhti laga jao kissi din
barso ki mohabbat ko kiss tarah bhulate hain
mujh ko bhi huner aisa sikhaa jao kissi din
mana muqaddar main jo likha hai na mitte ga
fursat mille to dil ko yeh samjhao kissi din...



1 comment: