Pages

Saturday, July 7, 2012

Ek ghazal tere liye zaroor likhunga


Ek ghazal tere liye zaroor likhunga.
Be hisaab usmein, tera qusoor likhunga.
Tu guftaar ka maahir, tu qirdaar ka maahir.
Par husn ko tere, tera ghuroor likhunga.
Tooth gaye bachpan ke tere saare khilone.
Ab dilon se khelna, tera dastoor likhunga.
Raha ishq ka daava, tujhe tamaam umr.
Wafa ki dehleez se tujhe, mafroor likhunga.
Khud sakta jo hai, tera judaai ka faisla.
Aise har iqdaam ko na manzoor likhunga.
Humein kehne ki aadat nahi, likhne ka shauq hai.
Jazbon ko apne, qalam ki taseer likhunga.
Tera wajood, mera wajood, mujhe ek sa lage.
Par tujhe main khudse bohat door likhunga.
Ek ghazal tere liye zaroor likhunga.
Be hisaab usmein, tera qasoor likhunga.

Monday, May 28, 2012

DOST

Dil pe zakhmo ke nishaan gehre laga gaya...
Wo dost tha magar humse dushmani nibha gaya..
Khawabon ke siwa shayad...
Kuch bhi na sochte hum...
Wo jate jate apni haqiqat jata gaya...
Bekasoor hona bhi ek jurm hi tha humara...
Gunah karke khud mujhe mujrim bana gaya...
Aansuon ko apne kis kis se chupayein....
Umar bhar rone ka sabab bana gaya...
Chot khaakar bhi jise sambhalte rahe hum...
Apne naam ki khatir meri.. 'DOSTI' mita gaya...