Pages

Saturday, July 7, 2012

Ek ghazal tere liye zaroor likhunga


Ek ghazal tere liye zaroor likhunga.
Be hisaab usmein, tera qusoor likhunga.
Tu guftaar ka maahir, tu qirdaar ka maahir.
Par husn ko tere, tera ghuroor likhunga.
Tooth gaye bachpan ke tere saare khilone.
Ab dilon se khelna, tera dastoor likhunga.
Raha ishq ka daava, tujhe tamaam umr.
Wafa ki dehleez se tujhe, mafroor likhunga.
Khud sakta jo hai, tera judaai ka faisla.
Aise har iqdaam ko na manzoor likhunga.
Humein kehne ki aadat nahi, likhne ka shauq hai.
Jazbon ko apne, qalam ki taseer likhunga.
Tera wajood, mera wajood, mujhe ek sa lage.
Par tujhe main khudse bohat door likhunga.
Ek ghazal tere liye zaroor likhunga.
Be hisaab usmein, tera qasoor likhunga.

5 comments:

  1. teri har ada se phle ek irshad likhunga..tujhe in zindgi ke saffo pe mai har baar likhunga... Likhne ke baad tujhe na fir mai kuch yaar likhunga....aur teri jafao ka hai ye sila..ke jake mai ab us paar likhunga

    ReplyDelete
  2. *Claps*.. liked your candid writing style.. :)

    ReplyDelete
  3. The Last Spinning Aftershokz Titanium | TITNIA-TITNIA
    TITNIA-TITNIA. Description. titanium damascus This ford escape titanium 2021 is a new spin-off, with the citizen titanium dive watch goal of titanium sheets creating a spin-off. All the spin-off symbols are titanium nitride gun coating there for you to enjoy.

    ReplyDelete