Pages

Saturday, June 4, 2011

main kabhi na use bhula saki..

Jo chala gaya mujhe chor ke
main kabhi na use bhula saki

wohi duriyaan wohi faasle
main kabhi na unhe mita saki

kiya usne bhi mujh se kuch pyar sa tha
ya shayad use shaoor tha

wo koi ajeeb sawal tha
jo mere samjh main na aa saka

meri zindagi ka sakoon tha wo
mere dil ka ek junoon tha wo

yehi sochti thi main raat bhar
yehi baat na main use keh saki

jo kabhi milna hua kismat mein
karungi us se shikayatein

wo mila to mere lab na hile
main kabhi na use bhula saki



No comments:

Post a Comment