Kab se na jaane , yeh baat dil me dabaye hue hain
Tumhari bahut yaad aati hai, par tumhi se yeh chupaye hue hain.
Chupana bhi kya , har koi yeh raaz janta hai
Magar jiske baare me kaha ja rha hai, wo hi laapta hai
Zamana beet gaya tumhe dekhe hue
Is beech humare saath kya kuch na hue
Bheed me bhi tumhari yaad satati thi
Aur akele me to hume ji bhar kar rulati thi
Fir jab akelaapan kaatne ko daudta tha
Panno me hi tumse baatein hoti thi
Par afsos ek bhi panna tum tak na pahuncha...
Shayad unki humdardi bhi mere saath na thi...!
Khwaabon me bhi socha na tha, ki tum yun chale jaoge
Kabhi jaana hi nahi..., mujhe chod kar itni khushi paaoge!
Taklif to shayad tumhe bhi ho rahi ho
Par jhooth bolne ke maamle me mujhse aage hi rahi ho
Hansi aati hai mujhe apne bhaagya par,
Maut ke mukh par le jaaka mujhe khada kar diya
Saanse nirbhar karti thi meri teri maujudgi par
Hosh me aaye to pata chala maine kya kho diya
Tujhe dhundte fir rahe hain, jeb me panne liye hue,
Haan wo hi panne , jo kabhi tum tak pahunche hi nahi
Tumhari kami ko koi bhi pura nhi kar sakta
Sach hi kaha tha tumne ,
Shayad main hi kisi k kaabil nahi ban sakti
Yun to main tumhare kaabil bhi nahi hun
Bas tumse itna hi jaanna hai
Ki tumhare dil me kahin hun bhi ya nahin hu
Na bhi ho to koi gam na rahega , maan gayi aakhir is sach ko
Thode palon ke liye hi sahi, magar tumsa humsafar na milega
Khwaab hi to hai, bhala tum ye saari baatein kaise jaan paogi
Phir bhi likh rahi hun, ye jaante hue ... ki tum nahi aaogi... kabhi nahi aaogi!!!
Tweet
No comments:
Post a Comment