Pages

Friday, November 19, 2010

ankahee...


Agar aansu baha deti to un ke pass kya rehta..

Woh mujh ko hosla dete to un k pass kya rehta ..
 
Nishan mujh ko nahi milta koi un tak pahunchne ka
 
Mujhe apna pata dete to un ke pass kya rehta..
 
Woh un ka maaan tha ki jis ke dum per ab woh zinda hai
 
Mein un ka dil dukha deti to un ke pass kya rehta .....
 
Musaafir saarey hi pal bhar ruk kar apni raah chal dete
 
Ped tehni jhuka deta to us ke pass kya rehta ?
 
Meri yaadon ne hi ab tak unhe abaad rakha hai
 
Woh mujh ko bhi bhula dete to un k pass kya rehta ....

No comments:

Post a Comment