Ek ghazal tere liye zaroor likhunga.
Be hisaab usmein, tera qusoor likhunga.
Tu guftaar ka maahir, tu qirdaar ka maahir.
Par husn ko tere, tera ghuroor likhunga.
Tooth gaye bachpan ke tere saare khilone.
Ab dilon se khelna, tera dastoor likhunga.
Raha ishq ka daava, tujhe tamaam umr.
Wafa ki dehleez se tujhe, mafroor likhunga.
Khud sakta jo hai, tera judaai ka faisla.
Aise har iqdaam ko na manzoor likhunga.
Humein kehne ki aadat nahi, likhne ka shauq hai.
Jazbon ko apne, qalam ki taseer likhunga.
Tera wajood, mera wajood, mujhe ek sa lage.
Par tujhe main khudse bohat door likhunga.
Ek ghazal tere liye zaroor likhunga.
Be hisaab usmein, tera qasoor likhunga.