Pages

Sunday, February 13, 2011

do boond namkeen paani aur khaali aasmaan


subah chubhti hai meri aankhon mein
andhera humsafar lagta hai
teri hi di hui tanhaayi ka asar hai ye
k mujhe khud se milte hue bhi darr lagta hai.
..


har aawaz , har dua, har sapna
ab beasar sa lagta hai
begairat , bematlab sa
ab mujhe har manjar lagta hai


subah chubhti hai meri aankhon mein
andhera humsafar lagta hai
teri hi di hui tanhaayi ka asar hai ye
k mujhe khud se milte hue bhi darr lagta hai...


sukhe hue se patte , ujdi hue se shaankhe,
udta hua ye dhuan, bujhti hui si yaadein
na jane in sab me mujhe
kyu tera asar sa lagta hai


subah chubhti hai meri aankhon mein
andhera humsafar lagta hai
teri hi di hui tanhaayi ka asar hai ye
k mujhe khud se milte hue bhi darr lagta hai...


badhte hue se faasle,
ruke-ruke se silsile
khafa khafa si manjile
khoye khoye se kaafile
na jaane 
 kyun thaka thaka sa
ye sara manjar lagta hai


subah chubhti hai meri aankhon mein
andhera humsafar lagta hai
teri hi di hui tanhaayi ka asar hai ye
k mujhe khud se milte hue bhi darr lagta hai...



Thursday, February 10, 2011

between the lines...


तुम खोजते रहे मुझे यूँ ही दिन भर

मैं तो सदा से थी तुम्हारी हमसफ़र



पेड़ों की छाया की शीतलता में

सागर की लहरों की चपलता में

स्मारकों के मूक वीराने में बसी

सूरज की किरणों में छुपी

मैं कहाँ नहीं थी



...बार बार आई मैं बन के ख्याल

तड़प और अहसास

तुम्हारे कदमो की शक्ति

तुम्हारी भुजाओं का बल

तुम्हारे ह्रदय की स्निग्धता

तुम्हारी खोज का चिंतन

तुम्हारे प्राणों का स्पंदन....



अब भी पूछते हो...मैं कहाँ हूँ ????

या शायद मैं चाहती हूँ...ऐसा पूछो तुम

तुम व्यस्त हो अब भी मगर

करने को उत्सुक पार ये डगर

जब जा पहुंचोगे उस शिखर के ऊपर



तब सम्भवत: सोचो यह सब ...पर ये तो

शब्द हैं बिखर जायेंगे तब तक ...मेरी तरह !!!

                                          - Manjula Saxena