Pages

Tuesday, January 25, 2011

Lyrics : aahatein ho rahin teri...

1 good thing about the latest season of MTV Splitsvilla is its theme song by “Agnee”. Love this song. Check it out -

Aahatein, ho rahin teri,
Dil ke dar pe mere,
Tu yahin hai kahin na kahin.
Aahatein, ho rahin teri,
Dil ke dar pe mere,
Tu yahin hai kahin.

Kabhi mere khwab sa,
Kabhi uljhe jawaab sa,
Ke chanda mein bhi daag sa,
Mere jaisa tu.
Ke dariya ka ho ik sira,
Ke armaano ka silsila,
Ke sehra mein bhi aab sa,
Mere jaisa tu, mere jaisa tu.

Aahatein, ho rahin teri,
Dil ke dar pe mere,
Tu yahin hai kahin na kahin.


Tera hoon main, tujhe kyon na yaqeen hai!
Chaahat mein meri aakhir kya kami hai?
Tujhme hi toh chhupi meri khudi hai.
Meri khudi kuch na sahi.
Kuch na sahi, Kuch na sahi.

Aahatein, ho rahin teri,
Dil ke dar pe mere,
Tu yahin hai kahin.

Kabhi mere khwab sa,
Kabhi uljhe jawaab sa,
Ke chanda mein bhi daag sa,
Mere jaisa tu.
Ke tu hi dariya ka he ik sira,
Ke armaanon ka silsila,
Ke sehra mein bhi aab sa,
Mere jaisa tu, mere jaisa tu.

Aahatein, ho rahin teri,
Dil ke dar pe mere,
Tu yahin hai kahin na kahin.





Saturday, January 15, 2011

Koi khas nahi.....!

Here goes pammyji's smsvachan :) 



Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi.
Ek dost hai kaccha pakka sa, Ek jhooth hai aadha saccha sa.
Jazbaat ko dhake ek parda bas, Ek bahana hai accha sa.
Jeevan ka ek aisa saathi hai, Jo pass ho ke bhi pass nahi 
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi.


Hawa ka ek suhana jhonka hai, 
Kabhi nazuk toh kabhi tufaano sa.
Chehra dekh kar jo nazrein jhuka le,
Kabhi apna toh kabhi begaano sa.
Zindgi ka ek aisa humsafar, Jo samandar hai, par dil ko pyaas nahi.
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi.


Ek saathi jo ankahi kuch baatein keh jaata hai, 
Yaadon me jiska ek dhundhla chehra reh jaata hai. 
Yuh toh uske na hone ka kuch gam nahi, 
Par kabhi-kabhi aankho se ansu ban ke beh jaata hai.
Yuh rehta toh mere tassavur me hai,
Par in aankho ko uski talaash nahi.
Koi tumse puche kaun hoon main, Tum keh dena koi khaas nahi!!!

Saturday, January 1, 2011

Lekin Ye Kya Batau Ab Haal Doosra Hai...Wo Saal Doosra Tha Ye Saal Doosra Hai....!!!

Pata nhi kyu is baar naye saal pe mera baar baar ye gaane ka mann kar rha hai... here it goes 


Jab Tum Se Ittefakan Meri Nazar Mili Thi.
Ab Yaad Aa Raha Hai Shayad Wo January Thi.


Tum Yu Mile Dobara Phir Mahe Febrauary Me.
Jaise Ke Humsafar Ho Tum Rahe Zindagi Me.


Kitna Hansi Zamana Aaya Tha March Lekar.
Rahe Wafa Pe The Tum Wado Ki Torch Lekar
.

Bandha Jo Ahede Ulfat April Chal Raha Tha.
Duniya Badal Rahi Thi Mausam Badal Raha Tha.


Lekin May Jab Aaya Jalne Laga Zamana.
Har Shaks Ki Zaba Par Tha Bas Yahi Fasana.


Duniya Ke Darr Se Tumne Badli Thi Jab Nigahe
Tha June Ka Mahina Lab Pe Thi Garm Aahe.


July Me Bhi Tum Ne Ki Baat Cheet Kuch Kam.
They Aasma Pe Badal Aur Meri Aakh Purnam.


Mahe August Me Jis Dam Barsat Ho Rahi Thi.
Bas Aasuo Ki Barish Din Raat Ho Rahi Thi.


Ab Yaad Aa Raha Hai Wo Mah Tha September.
Bheja Tha Tum Ne Mujhko Lekh Ke Wafa Ka Letter.


Tum Gair Ho Rahe The October Aa Gaya Tha.
Duniya Badal Chuki Thi Mausam Badal Chuka Tha


Jab Aagaya November Aisi Bhi Raat Aayi.
Mujhse Tumhe Chudane Sajkar Barat Layi.


Bekaif Tha December Jazbaat Mar Chuke The.
Mausam Tha Sard Usme Arma Bekhar Chuke The.


Lekin Ye Kya Batau Ab Haal Doosra Hai.
Wo Saal Doosra Tha Ye Saal Doosra Hai.